Search This Blog

Wednesday 18 January 2012

Sad Poetry

●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●

Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein
Phir Aaina Dekhne Lagi Mein
Oski Tarah Apna Naam Le Kar
Khud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein
TU Mere Bagair Na Reh Sakaa Tou
Kub Tere Bagair Jee Saki Mein ???
Aati Rahay Ab Kaheen Se Aawaaz
Ab Tou Tere Paas Aagayi Mein
Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?
Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Kisi din loat na paaon
Tumhain main yaad gar aaon
Sulla k apni ankhon ko
Mujhay tum khawb main milna
Waja tum jaan jaao gi
Mujhay pehchan jaao gi
Tumharay paas he aana thha
Mujhay kahan ore jaana thha
Magar qudrat nay rakha thha
Tumhara imtehan iss main
Mohobat say bohat aagay
Tumhain bhe aazmana thha
Tumhain daiy kar zara sa gham
Mujhay bhe ye batana thha
Sirf tum he nehi kartay
Mohobat apni manzil say
Wo manzil bhe tumhari raah taktay
Sisakti hay, tarapti hay
Aansoo bahati hay
Ore kehti hay
Chalo ab loat bhe aao
Sunna tum nay ……. Chalo ab loat bhe aao
Chalo ab loat bhe aao……………
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Ab or kis subha se main aas lagaon
Jab shaam tak b usko main yaad na aun
Wo kho gya hai shayed apni rafaqaton main
Ab barishon k moasum main yaad kya dilaon
Tarpa nahi hai ab tak wo kisi ki judaiyon main
Main apne aansoou ko faryaad kyun banaon
Charcha abhi nahi hai ruswaiyon ka meri
Darta hon kal jahan main ruswa ho na jaon
Kehta raha hon usko mera sath sath chalna
Wo agay nikal gaya hai main kahin bichar na jaon
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar
Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar
Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar
Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar
Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker
Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar
Jeenay main kehin sokh ore kehin dard-e-jahan hai
Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar
Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main
Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar
Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar
Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar
Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho
Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar
Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai
Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Khawabun Ki Hawaa Raas Thi Jab Tak Mujhe,
Yoon Jaagte Rehna Meri Aadat Na Howi Thi…
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Uske Khat me Mere hi khat ke tukre they,
Aur Mujhe laga, Mere khat ka jawab aaya hai..
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka
Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka
Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar
Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka
Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k
Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka
Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k
Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka
Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab
Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka
Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main
Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka
Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau
Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka
Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka
Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Mein Zamana Mein Badnaam Faqat Es Liya Hoon . . .
Mujhay Logon Ki Tarah Badal Jana Nahi Aata . . . !!
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah
Juri thhe aik bundhan saiy tumhari rah humari rah
Na phoolon main na khushboo main na moasum main talatum thha
Ajab bay khoaf lagti thhe tumhari rah humari rah
Chalay jana sunatay geet humara dooor tak aksar
Humain mudhoosh rakhti thhe tumhari rah humari rah
Chamman main koch nehi badla siwae hum nasheenoN k
Wohi hain hum juda hay ab tumhari rah humari rah
Humari zeest k badmast lumhon main wo ik lumha
Bana de jis nay baimaqsad tumhari rah humari rah
Chalo inkaar kartay hain mohobat k asooloN saiy
Ore ab dooor saiy daikhain tumhari rah humari rah
Mujhay ab sath laikar tum chalo shaukat onn ruston pay
Jahan main daikh sakoon her dum tumhari rah humari rah
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna
Apnay humaray darmiyan deewar daikhna
Thhokra k aap nay humain achha sila diya
Hum thhay k hum nay chaha so bar daikhna
Lehra diye aap nay parday fizaon main
Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna
Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili
Hum thhak gaeiy simt coo-e-yar daikhna
Janay kahan say aap nay seekhien adawatain
Mushkil nehi thha warna ik bar daikhna
Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohobatain
Palaray main rakh k aap mera payar daikhna
Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq
Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna
Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi
Apnay jigar ke taqat-e-izhaar daikhna
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Ye hall ho gea hai k jhonke naseem k,
Ate hain aab qafas me muje cherate hoe.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Yon na parhiye kahen kahen se humen,
Hum bhi insan hain kitab nahin.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Ye door wo hai k bethe raho charagh tale,
Sabhi ko bazam hai daikho magar dikhai na de.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Ye sanha bhi kai baar muj pe guzra hai,
K apne samne aea hon sar jhokae hoe.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Yon hi shab faraq me bus ankh lag gai,
Warna hum aisi raat me soe kabhi na the.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Wehshatain kuch is tarah apna muqadar ho gaen,
Hum jahan pohnche hamare sath werane gae.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Waasal e yaar ki khawaish me aksar,
Charagh e sham se pehle jala hon.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Weran hai mekada khom o sakhar udas hain,
Tum kia gae k roth gae din bahar k.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Wohi hai bhok ehal e zar ki lakin log kehte hain,
Bhara ho peet to koi ghaza achi nahin lagati.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Na koi peer na saea na ahtoon ka gaman,
Ye justajo ka safar bhi azab jaisa hai.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Najane rut ka tasraf tha ya nazar ka fareeb,
Kali wohi thi magar rang jhamlae bahot.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Me mosam e khazan se talab kar raha hon rang,
Shaid tarap k jaag uthe raat bahar ki.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Me apne app me chopke se loot ata hon,
Kisi bhi simat se jab hosala nahin milta.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Me shab o roz ka hasil use lota don ga,
Waqt agar mere khalone muje wapis kar de.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Laon kahan se dhond k me apna humnawa,
Khod apne har kheal se takra choka hon me.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Le gaen jane kahan garam hawaen un ko,
Phol se log jo daman me saba rakhate hain.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Labon pe jaan ho to ehsas e talakh o sheren kia,
Kahen se zeher hi lao k tashnagi hai bahot.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Lo ajj hum ne toor dia rishta e umeed,
Lo abb kabhi gila na karain ge kisi se hum.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Guzra na tere bad koi kocha dil se,
Ye raste ik naqsh e kaif e pa k lie tha.'
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Gum sum hoa awaz ka darya tha jo ik shakhs,
Pathar bhi nahin abb wo satara tha jo ik shakhs.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬●
Guzar na sake kabhi tere hijar k shab o rooz,
Na din dhala na kabhi raat ko zawaal aea.
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Guzaarte waqt ki har chap se me darta hon,
Na jane kon sa lamha udas kar jae. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Kai ajnabi teri raah me mere pass se yoon guzar gae,
Jinhain daikh kar ye tarap hoi tera naam le k pukar lon. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Kitne chehron pe rahe aqas meri harat k,
Mehrban muj pe hoe aina pekar kia kia. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Kia ye sach hai k khazan me bhi chaman khilte hain,
Mere daman me laho hai to mehkata kia hai. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Kitab khol raha tha wo apne mazi ki,
Waraq waraq pe bikharta gea mera chehra. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Kion kahon dida tar ye to mera chehra hai,
Sang kat jate hain barish ki jahan dhahar gire. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Kitne ache hain mere ghar k purane bartan,
Chat tapakti hai kecher nahin hone daite. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Qisa e shoq pe hain yon wo nigahen barham,
Jaise hum ae hain kuch sikwa ba ja le k. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Fursat mile to daikh zara dil ka aina,
Us me hai akas tere gunah sawab ka. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Faraz tarak e taluq to khair kia ho ga,
Yahi bahot hai k kam kam mila kar us se. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 
Ghairon se iltafat pe toka to yon kaha,
Dunia me bat bhi na karain kia kisi se hum. 
●▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬● 






No comments:

Post a Comment