Search This Blog

Friday 20 January 2012

Cool Poetry

                      
Mere Dil Me Tha Thikana Unka.

Do Kadam Bhi Unse Aaya Na Gaya.

Maine Pucha Ki Kyon Toda Wada Mera

Wo Hans Kar Bole Nibhaya Na Gaya..!!
                    
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan main....
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengay

                    
Koi Na Milay To Qismat Sy Gila Nahi Karty,

Aksar Log Mill Ker Bhi Milla Nahi Kartey...
             
Saza pe chhor diya kuch jaza pe chhor diya.

Har ek kam ko hum ne khuda pe chhor diya.

Wo hum ko yaad rakhta ya bhula deta.

Us ka kam tha us ki raza pe chhor diya.

Ab us ki marzi bujha de ya phr jala rakhe.

Jala kar Chiragon ko hum ne hawa pe chhor diya.

Ab us se baat bhi karte to kis tarhan karte.

Ye masla Ana ka tha,Ana pe chhor diya

Is liye to wo kehte hain bewafa hum ko .

k hum ne Sara zamana wafa pe chhor diya

                    
Zindgi ek raat hai,

Jis main na jane kitne khwab hain.

Jo mil gaya wo apna hain,

Jo tut gaya wo sapna hain,

Ye mat socho ki zindagi main kitne pal hain,

Ye socho ki har pal main kitni zindagi hain,

So enjoy every moment of your life..


                    
Wo Bewafa Na Tha younhi badnam ho gaya...

hazaro chahany waly Thy Kis Kis se wafa krta..!!!
                    
‎"Evryday",
"Evrytime",
"Evrywhre",
I may not be with you...
But
"My Thinking",
"My Care",
"My Prayers",
&
"My Lovely Wishes"
are Always with u

                    
Yeh taluk be buht khoob raha hai kuch din.
Tu mery nam sy mansoob raha hai kuch din.

Aankh reh reh k tere rah taka karti the.
Dil tere yad sy maghloub raha hai kuch din.

Tere tasbeeh bana kar tujhy soucha karna.
Mashghala yeh mera mehboob raha hai kuc din.

Shayad is bat ka matlb main skjh na paoun.
Kuan mera dil tera matloob raha hai kuchdin..

Barish-e-sang sy pehle yeh zara soch tu lu.
Tera MOHSIN tera mehboob raha hai kuch din.


                    
Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?

Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sunn Liya Karta

Meri Zamee'N Too Agar Mujh Ko Raas Aa Jaati !
Main Rifato'N Main Tujhe Aasma'N Sa Karta

Gham-E-Jaha'N Ki Muhabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kiss Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta ?

Agar Zuba'N Na Kat Ti Tu Shehar Main MOHSIN
Main Pathro'N Ko Bhi Ik Rooz HamNawa Karta

                    
Mahfil ne jab asuul puraane badal liye 
Yaaron ne bebasii mein thikaane badal liye 

Na jaam wo rahaa na wo saakii mein taab hai 
Hum ne bhii aaj apne paimaane badal liye 

Ye karwaan-e-zindagii rukataa nahin kabhii
Go kaarwaan ne taur-taraane badal liye

Aise bhii aaye pyaar kii raahon mein walwale
Merii wafaa ne apne fasaane badal liye

Jin baaz aankhon se hatatii na thii nazar
Us ne ab apne nishaane badal liye.

                    
Sachi Hai Piyar Ki Tu Nishani Likhenge Hum 
Ae Taaj Teri Jab Bhi Kahani Likhenge Hum 

Jis Per Kisi Ki Maut Ka Hotha Nahi Asar
Uske Laho Ko Dosto Pani Likhenge Hum 

Ghar Ghar Me Raaj Dosto Mehengai Ka Hai Ab
Isko Hi Apne Dor Ki Rani Likhenge Hum

Jiske Liye Samaj Me Koi Jagah Nahi
Apni Ghazal Me Uski Kahani Likhenge Hum

Mahol Afra Tafri Ka Choro Taraf Hai Aaj
Phir Kaise Wardaat Purani Likhenge Hum

Aaaqa k Naam Aayega Jab Bhi Zubaan Par
Unka Nahi Hai Koi Bhi Shani Likhenge HUm

Mahir Tujhe Jahaan Se Bhulaya Na Jayega
Apne Laho Se Teri Kahani Likhenge Hum


                    
Hume itna hi kehna he
kabhi hum yaad ayen....
kabhi tanhai k lamhe tumhe zada sataen
koyal n bole or jugnu lout jaen
tumhare sathi or dost b tum ko na manaen
kabhi khawahish k ba wajood khul k ro na paao to
bus apni ankhen band kar lena
tasawar se humare tum jo kehna ho to keh dena
yunhi kandhe p sar rakh kar
jo chaho tum to ro lena
phir jub khud me lout aao to
is duniya me kho jana
magar............
itna hi kehna he
dukh me ya khushi me tum hume dil se pukaro ge
humesha sath paao ge........

                    
Shikway Shikayaton ki Nahi Ye Zarf Zarf Ki Baat Hai 
Tere Vehm_O_Gumaan Mein Bhi Ham Nahi Aur TU Lafz Lafz Hamain Yaad Hai
                    
Dhoondo Ge Ujrre Rishton Main Wafa K khazaane
Tum Mere Baad Meri CHAHAT Ka Ehteram Karo Ge..

                    
Hr gharri dard ki shiddat sy sisakti ankhien
aur ooper sy teray wasl k khuwabon k azaab
roz aangan meien kharrey pairr sy girtay patay
aur sar-e-shaam parindon py guzarti aafat
nabz aur dil ki baghawat sy tarrapti hai hayat
iss barrey shehar mein barrhta huwa logon ka qehat
roz hoti hai merey sath deewaron ki jharrap
roz ik saans ko phaansi ki saza milti hai
ab to aa ja aey meri jaan k pyaarey dushman
ab to aa ja k teray hijr k qaidi ko yahan
roz is shehar mn marnay ki dua milti hai...!

                    
Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq

                    
Is Dil-e-Tang Main Kis Kis Cheez k0 Jaga Dun.

Gham Rahay, Dum Rahay, Faryad Rahay Ya Teri Yaad Rahay.

                    
Zikr-e-Shab-e-Firaq Say Wehshat Ussay Bhi Thi 
Meri Tarah Kisi Say Muhabbat Ussay Bhi Thi 

Mujh Ko Bhi Shok Tha Naye Chehroon Ki Deed Ka 
Rasta Badal K Chalne Ki Aadat Ussay Bhi Thi 

Us Raat Dair Tak Wo Raha Mehv-e-Guftagu
Masroof Mein Bhi Kam Tha Faragat Usay Bhi Thi

Sunata Tha Wo Bhi Sub Say Purani Kahaniyan
Taaza Rafaqatoon Ki Zaroorat Ussay Bhi Thi

Mujh Say Bichar K Shehar Mein Ghul Mil Gaya Wo Shaks
Halanqay Shehar Bhar Se Raqabat Ussay Bhi Thi

Wo Mujh Say Badh K Zabt Ka Aadi Tha Jee Geyya
Warna Har Ik Saans Qayamat Ussay Bhi Thi

                    


غلطیوں سے پاک صاف وہ بھی نہیں ، میں بھی نہیں..
دونوں انسان ھیں،فرشتہ وہ بھی نہیں ،میں بھی نہیں.!
وہ مجھے اور میں اسے الزام دیتے ھیں مگر..
اپنے اندر جھانکتا وہ بھی نہیں، میں بھی نہیں.!
غلط فہمیوں نے کردی پیدا دؤریاں.
ورنہ فطرت کا برا وہ بھی نہیں ،میں بھی نہیں..!
اس گھومتی زندگی میں دونوں کا سفر جاری ھے.
اک لمحے کو رکا وہ بھی نہیں،میں بھی نہیں.!
چاہئتے ھیں دونوں ایک دوسرے کو بہت ،مگر،
یہ حقیقت ھے مگر مانتا وہ بھی نہیں،میں بھی نہیں.! —


                    
Shok ko aazim e safar rakhiye
Be khabar ban ke sab khabar rakhiye

Chahey nazren hon asmanon per
Paon lekin zameen per rakhiye

Mujhko dil mein agar basaana hai
Aik sehra ko apne ghar rakhiye

Koi nasha ho toot jata hai
Kab talak kkhud ko bekhbar rakhiye

Janey kis wakt kooch karna ho
Apna samaan mukhtasir rakhiye

Dil ko khud dil se raah hoti hai
Kis liye nam a bar rakhiye

Baat hai kya yeh kon parkhey ga
Aap lehjey ko pur-asar rakhiye

Aik tuk mujhko dekhe jati hain
Apni nazron pe kuch nazar rakhiye


                    
Tishnagi Roz Mulaqat Men Reh Jaati Hy..
Meri Ek Baat Kahin Baat Men Reh Jaati Hy..

Chand Aankhon Se Guzarta Hy Guzar Jata Hy
Chandani Dil K Mazafat Men Reh Jaati Hy..

Khwab Men Hath Mila Ker 'Wo' Chala Jata Hy..
Aur Phir Aik Dhanak Hath Men Reh Jaati Hy..

Us Ka Chehra To Nikal Jaey Meri Sochon Se..
Roshni Mere Khyalat Men Reh Jaati Hy..

Jab Wo Ra'anai Se Uth Jaey Mere Pehlu Se..
Aik Tanhai' Meri Zaat Men Reh Jaati Hy.....................

                    
Chalo Mohsin mohabbat ki NAyi bunyaad rakhtay hai..
Khud paband rehtay hain, usay azad rakhtay hain...

Hamaray khoon main Rab ne yehi taseer rakhi hai,,,,
Burai bhool jatay hain achai yaad rakhtay hain….

Mohabat main kaheen hum se gustakhi Na ho JAe,,,,
▬"Ham apna hAr qadam us k qadam k baad rakhtay hain.

                    
Usy Keh Do,Wo Mera Hy,Begana hO nhi skta
boht NAYAB Hy, Us Jesa Zmana hO nhi skta

Tumhre Sath Jo Guzra,Wo Mousm Yad Ata Hy
Tumhre Bad kOi Mousm Suhana hO nhi skta..

Chupane sE nhi Chupta, Dikhawe sE nhi Dikhta
Ye Atish-E-IshQ Hy is mE, Bahana hO nhi Skta

Tu DiL pE NaQsh hO Jay,Nigah0n mE Sama Jaye
K is DiL mE Kisi ka Phir sE, Aana hO nhi skta

bOht Hein Chahne WaLe, Tere,Hm Ne Suna Hai Pr,
Koi B Doosra Hum sa, Dewana hO nhi skta.


                    

Na'Janay Kis Liye Umeed'War Baitha Hoon♥♥
Ik Aisi Raah Pay Jo Teri Rah'Guzar Bhi Nahin

                    
Zamany Ki Nigahon Se Dilon K Raaz 
Posheeda Hain..

"WAQAR"

Khuloos-e-Dil Se "RAB" Jany Mohabbat Kon Karta Hai..
                    
Meri zindagi mein faqat Do hi kaam Na mumkin rahay 
Use paa lene ki tamanna Ya phir Use bhool janay ki khawaish

                    
Ajab Riwayet Ha
Tere Mizaj-e-Be'Niazi Ki,,,

,.Galib"

Jo Hum Yaad Karein
To Masroof Ha Tu,
Jo Tu Yaad Kary To
Ehsaan Tera.....

                    
sunuo hameen ik baat kahni hai
behes mubahisa hum nahe karty

hamen tum se muhabbat hai
wazaahat hum nahe karty

taloouq tum se hai apna
wazahat hum nahe karty

muhabbat be-loos hoty hai
enayaat hum nahe karty

qallam se likh nahe skty
hum apna hal-e-dil jana

hai achi baat agar manoo
shararat hum nahe karty

                    
Meri rahon ke
Jo jugnu hein
Wo tere hein..

Teri rahon k
Jo andherey hein
Wo mere hain..

Chu sakta Nahi
koi gum tujhko
Q k..
Tujh par duaon k jo
pehrey hein
Wo mare hein.


                    
Sardiyon ki Rat,
Meri khirki ka Chand,
Aur karwatain Badlta May,
Na Rat katay,
Na Chand Dhalay,
Na Tum Aao, 
Na Neend Aye...!
                    
Bohat khamosh reh
kar jo sazae'n mujh
ko deta tha

Bare khamosh lehje
mein sadae'n mujh
ko deta tha

Kabhi jo dard ki
aatish mujhy
sulganay lgti thi

Wo apni saans ki
mehki hawae'n
mujh ko deta tha

Usay mein ajnabi
samjha magr har
mor pe MOHSIN

Wo apne naam ki
saari duae'n mujh
ko deta tha.

                    

Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,

Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,
...
Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,

Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,

Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,

Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum.


                    
Aisa Kya Likhoon Jo Tere Dil Ko Tasalli Ho Jaye

Kya Yeh Batana Kafi Nahi Ke, Meri ZINDAGI Ho Tum....!!
                    
Dil chahta hai us shaks k hathoun ki lakerien chom lun. . . .
Jisne tujy meri tarhan shiddat se mangaa be nahe aur tujy pah lya. . . . .
                    
‎"Maat kholna mari mazi ki kitaboon ko"
"Aye Dost"
"Mujh se har us shaks ne bewafai ki jis per hum Naz kia karty thy"....












                    

راتوں کی بسیط خامشی میں
جب چاند کو نیند آ رھی ھو
پھوُلوں سے لدی ُخمیدہ ڈالی
لوری کی فضا بنا رھی ھو

جب جھیل کے آئینے میں گھُل کر
تاروں کا خرام کھو گیا ھو
ھر پیڑ بنا ھوُا ھو تصویر
ھر پھوُل سوال ھو گیا ھو

جب خاک سے رفعتِ سما تک
اُبھری ھوُئی وقت کی شکن ھو
جب میرے خیال سے خدا تک
صدیوں کا سکوُت خیمہ زن ھو

اُس وقت مِرے سُلگتے دِل پر
شبنم سی اُتارتا ھے کوئی
یزداں کے حریمِ بے نشاں سے
انساں کو پُکارتا ھے کوئی

                    
Mere Khamosh Lamho ki Aahat ko Sun'ne Wale, Sun...,
Teri Tanhaiyaa Bhi Cheekhti Hai Mere Kaano Me......♥
                    
Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura Lo Mjh Ko

Khony Ka Agr Khaof Hy To
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko

Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo Mjh Ko

Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko

Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gy
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko

Zindgi B Tere Nam Kr Dain Gy
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko...!

Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura Lo Mjh Ko

Khony Ka Agr Khaof Hy To
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko

Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo Mjh Ko

Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko

Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gy
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko

Zindgi B Tere Nam Kr Dain Gy
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mjh Ko...!


                    
بجا کہ آنکھوں میں نیندوں کے سلسلے بھی نہیں
شکستِ خواب کے اب مجھ میں حوصلے بھی نہیں

نہیں نہیں! یہ خبر دشمنوں نے دی ہو گی
وہ آئے! آ کے چلے بھی گئے!ملے بھی نہیں!

یہ کون لوگ اندھیروں کی بات کرتے ہیں
ابھی تو چاند تری یاد کے ڈھلے بھی نہیں

ابھی سے میرے رفوگر کے ہاتھ تھکنے لگے
ابھی تو چاک مرے زخم کے سِلے بھی نہیں

خفا اگرچہ ہمیشہ ہُوئے مگر اب کے
وہ برہمی ہے کہ ہم سے انہیں گِلے بھی نہیں

                    
Mujhe apne barbad
Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna
Tu bohat roya

Main ne Har pal har
Su tujhe Yad kia,
Jab Tujhe Apni Yad se
Gaafil paya tu bohat
Roya

Ye zindagi
Ye Ronaqein
Ye ranjishein,
Jab in Sab me Tujhe
Tanha paya Tu bohat
Roya

Main ne apne Dil k har
Konay me sirf tujh
ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jab
Koi Or dekha Tu bohat
Roya

“RanA” Jaanta tha k To
Es k Nasib me nahi
Hai
Lekin phir B tujhe khuda
Se Baar baar maanga Tu
Bohat Roya

                    
Barse Bina Hi Jo,Ghata Aagey Nikal Gai,
Ik Be’wafa Ka Ehd-E-Wafa Yaad Aa Gaya.

Yun Chonk Uthe Wo,Sun Kar Mera Shikwa,
Jesay Unhain Bhi Koi Gila Yaad Aa Gaya.

Hairat He Tum Ko Dekh K,Masjid Mein Ae “MOHSIN”,
Kia Baat Ho Gai Jo,KHUDA Yaad Aa Gaya.


                    
Mitti hai hath mai mairy,

choo kr to sona kr skti hai,

mairy Lub pr Apny Lub ko Bicha kr,

Maire Zindage ko Badl Skti Hai,

Tjhy Aitebar to hai Maire Muhubt Pr,

Phr Q mjhsy Tou Nhe Mila Krti Hai,

                    


اک ایسی راہ پہ جو تیری رہگزر بھی نہیں
________________________________
Na'Janay Kis Liye Umeed'War Baitha Hoon
Ik Aisi Raah Pay Jo Teri Rah'Guzar Bhi Nahin

                    

کاش آنسو میرے آنکھوں میں ہی رہ جایا کرے

اے ہوا میں نے تو بس اس کا پتہ پوچھا تھا
اب کہانی تو نہ ہر بات کی بن جایا کرے

بس بہت دیکھ لئے خواب سہانے دن کے
اب وہ باتوں کی رفاقت سے نہ بہلایا کرے

اک مصیبت تو نہیں ٹوٹی سو اب اس دل سے
جس قیامت نے گزرنا ہے گزر جایا کرے

جس کے خوابوں کو میں آنکھوں میں سجا کر رکھوں
اس کی خوشبو کبھی مجھ کو بھی تو مہکایا کرے


                    
ں 
حکم یار چلتا ہے 
ضابطے نہیں چلتے 
حسن کی عدالت میں عاجزی تو چلتی ہے 
مرتبے نہیں چلتے 
دوستی کے رشتوں کی پرورش ضروری ہے
سلسلے تعلق کے خود سے بن تو جاتے ہیں
لیکن ان شگوفوں کو
ٹوٹنے بکھرنے سے
روکنا بھی پڑتا ہے
چاہتوں کی مٹی کو
آرزو کے پودے کو
سینچنا بھی پڑتا ہے
رنجشوں کی باتوں کو
بھولنا بھی پڑتا ہے
کیوں کے !
عشق کے علاقے میں
حکم یار چلتا ہے 

                    

Apni Takmeel Kar Raha Hoon Main
Warna Tujh Se To Mujh Ko Pyar Nahin

                    
Ye Jo Taron Bhara Hy Asman
Ye b Muntazir Hy Meri Tarah
Issy Chand Ki Hy Justujoo
Mjhe Chandni Ki Talash Hy
Wo Jo Muntazir Tha Chand Ka
Ussy Mil Giya Mangy Bina
Jissy Chandni Ki Talash Thi
Wo Dakhta he Reh giya
Wo Dakhta he Reh giya


                    
Zara talakh lehjay mein baat kar, zara berukhi se pesh aa….!!
Main issi nazr se tabah hua mujy dekh na youn pyar se…
                    
Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr
Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne..!!’
                    
Yun bi karta hy koi chahnay walon py sitam
Na ishara, na kinara, na inayat, na salam

                    

▬"Chalo Mohsin mohabbat ki NAyi bunyaad rakhtay hain,▬
▬"Khud paband rehtay hain, usay azad rakhtay hain....…▬

▬"Hamaray khoon main Rab ne yehi taseer rakhi hai,,,,▬
▬"Burai bhool jatay hain achai yaad rakhtay hain…....▬
...
▬"Mohabat main kaheen hum se gustakhi Na ho JAe,,,,,,,,,▬
▬"Ham apna hAr qadam us k qadam k baad rakhtay hain...!!!▬

                    

Mein aksar shAam k manzar se larazta is liye bhi hOon,
uffaq pe doobta suraj mera anjaam lagta hai...

                    

Wo Jo Hath Tk Choony Ko Be'Adbi Samajhta Tha

Galay Lag K Roya Thaa............!!!!
Bichrny Say Zara Pehlay


                    

‎... If you really love her, you won’t
touch her. Not even the slightest bit.
You’ll protect her dignity and
sacredness as a muslimah. Just hold
her in your heart for a little more time.. :)

                    
‎(Best Ghazal)
Ek baar kar k etbaar likh do,
Kitna hai muj sy pyar likh do,
Kat'ti nahi ye zindgi ab tery bina,
Kitna aur karun intizar likh do,
Is baar apni mohabbat ka izhaar likh do,
Deewany ho jayein jisy parh kr hum,
Kuch aisa tum mery yaar likh do,
Zyada nahi likh sakty to matt likho tum,
Mohabbat bhary lafz do chaar likh do,
Ek baar likho mohabbat hai mujy tum sy,
Phir yahi jumla baar baar likh do.
N4u96tyboy

                    
zindgi pr eik kitab likho ga main us main wo saray hisab likhon ga, payar ko waqt guzari likh kar, chahton ko sirf azab likho ga Hoi barbad mohtabbat kaisy.? kaisay bikharay hain mery khawab likhon ga. khud ko kisi titli ka roop day kr, us ka chehra gulab likhon ga. us ko Ilzam-e-Bewafa nahi do ga, BUs "APNI:qismat kharab likhon ga

                    
Koi Phool Jhory Mein Aisa lagaye,
K Us Ki Khushbo Mere Ghar Mein Aaye,
Koi Apne Ghar Mein Diya Yon Jalaye,
K Us Ki Roshni Mere Ghar Mein Aaye,
Koi Apna Naam Yon Bhool jaye,
K Us Ki Zubaan Pe Mera Naam Aaye,
Koi Apna Ghar Yon Bhool Jaye,
K Mujhe Apna Samajh K Mere Ghar Mein Aaye…@

                    
‎"Sabhi ashk aankhon men aa gae,
na chupa saky na bata saky,

Wo jo raaz tha wo khul gya,
koi baat bhi na chupa saky,

Na wafa rahi na jafa rahi,
na wo dil raha na hum rahy,

uski yad ka jo charagh tha,
na jala saky na bujha saky,

Koi zor khud pe raha nahi,
koi bus bhi us pe chala nhi,

usy dekhty rahy door tak,
magar hath tak na hila saky,

Nahi is men uski khata koi,
na naseeb ka koi dosh tha

Ye humara apna mizaaj tha
k kisi tarha na nibha sakay.
N4u96tyboy

                    
‎"Sabhi ashk aankhon men aa gae,
na chupa saky na bata saky,

Wo jo raaz tha wo khul gya,
koi baat bhi na chupa saky,

Na wafa rahi na jafa rahi,
na wo dil raha na hum rahy,

uski yad ka jo charagh tha,
na jala saky na bujha saky,

Koi zor khud pe raha nahi,
koi bus bhi us pe chala nhi,

usy dekhty rahy door tak,
magar hath tak na hila saky,

Nahi is men uski khata koi,
na naseeb ka koi dosh tha

Ye humara apna mizaaj tha
k kisi tarha na nibha sakay.
N4u96tyboy


                    
Chaand Dilkash Hai Maanta Hoon Main

Husn-e-Janaaa Se Haar Jayegaaa...!!!!
                    
Kuch PhoOL Hum Per Giray, Kuch PhOoL Un Per Giray

____*'"DOsT'"*____

Farq Bs Itna Tha K Wo Apni Duniya Bsa Rahe Thay Or Hum Duniya Se Ja Rahe Thay:(
                    
Bhool Gaye Na Tum
Yaad Hai Tumko Kiya Kehti Thee, Bhool Gaye Na Tum
Chand Mere Aey Jaan Meri, Bhool Gaye Na Tum
Chalte Chalte Gir Parte They, Hanste Hanste Ro Dete Thay
May Apni God Me Tumko Phir Bherleti Thi, Bhool Gaye Na Tum
Jeevan Tera Mai Ne Sanwara, Apna Sab Kuch Tum Pe Wara
Lekin Tumse Kuch Na Manga, Bhool Gaye Na Tum
Her Aahat Pe Uth Jaati Thee, Rasta Dekha Kerti Thee
Jab Tak Tum Na Atey They, Bhool Gaye Na Tum
Yeh Hath, Yeh Ankhen Aur Dua, Sab Daan Me Tumko Kerti Hun
Ek Jaan Hai Jisko Jaan Meri, Bhool Gaye Na Tum
Na Mujhese Milne Atey Ho, Na Mujhko Paas Bulate Ho
Me Har Dam Sochti Rehti Hun, Bhool Gaye Na Tum
Ab Umar Ka Aakhir Aakhir Hai, Jab Yaad Ayun To Jaan Meri
Tum Mujhse Milne Aajana, May Tumse Lipat Ker Rolungi
Sab Dukhre Apne Kholungi, Masroof Bohat Ho Tum Shayad
Duniya Kay Hangamo May, Aur Shayad Mujhse Milne Ko
Ab Wakt Na Tumko Mil Paye, Meri Jalti Bujhti Aankhon May
Ek Aas Ki Raakh Si Reh Jaye, Ek Khawab Ki Chaap Si Reh Jaye
May Takte Takte Rah Teri, Mun Mor Ke Teri Duniya Se
Chup Jayungi Koray Latthey Me, Phir Mere Baad Tumhe Koi
Sargoshi Me Batlaye Ga,
Wo Aankhen Zere-Khaak Huin Jo Tumko Dekha Kerti Theen
Wo Hont Bhi Ab Khamosh Hue Jo Kher Ko Manga Kerte Thay
Wo Haath Bhi Ab BeJaan Hue Jo Dua Ko Uttha Kerte Thay
So Beet Gayee Wo Boorhi Maa
Tum Jiski Umar Ka Haasil Thay, tum Jiska Wakt Sitara Thay
Tum Jiski Aankh Ka Taara Thay, Wo Khaak Me Milke Khaak Hui
Sp Beet Gayee Wo Boorhi Maa, Tum Jiski Aankh Ka Taara They
Tum Jiski Umar Ka Haasil Thay
So Beet Gayee Wo Boorhi Maa..

Love your mother


                    

Bay niyaazi Say Bewafaai tak,
Koi tohmat tou Uss K Sar Jaati.....


                    
‎"Sabhi ashk aankhon men aa gae,
na chupa saky na bata saky,

Wo jo raaz tha wo khul gya,
koi baat bhi na chupa saky,

Na wafa rahi na jafa rahi,
na wo dil raha na hum rahy,

uski yad ka jo charagh tha,
na jala saky na bujha saky,

Koi zor khud pe raha nahi,
koi bus bhi us pe chala nhi,

usy dekhty rahy door tak,
magar hath tak na hila saky,

Nahi is men uski khata koi,
na naseeb ka koi dosh tha

Ye humara apna mizaaj tha
k kisi tarha na nibha sakay.

                    
Tujhe Ikhtiyar Hy Sab Ka Sab, Mera Tujh Se Itna Sawal Hy,
Tu Maaf kar, Tu Kareem Hy, Tu RABB-E-ZUL JALAL Hy......!

                    
Hmare lehje me ye twazun taweel muddat k baad aya......
Kaii mizajon k dasht dekhe,Kayii ravaiyyon ki khaak chaani...!!
                    
Koi Ankhon Se Baat Ker Leta Hai,
Koi Ankhon Mein Mulaqat Ker Leta Hai,

Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena,
Jb Koi Khamosh Reh Ker Sawaal Ker Leta Hai,
                    

Koi Ankhon Se Baat Ker Leta Hai,
Koi Ankhon Mein Mulaqat Ker Leta Hai,

Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena,
Jb Koi Khamosh Reh Ker Sawaal Ker Leta Hai,


                    
Apnon Ne Bhi Na Socha Ke Ujron Gi To Kidhar Jaaon Gi
Aashyana Na Ho Jin Ka Woh Parinde Aksar Mar Jate Hain
                    
Kuch Panchi Jhund Me Urtey Hon
Aur Rasta Bhi Kuch Mushkil Ho

Kuch Door Ufaq Pe Manzil Ho
Ik Panchhi Ghayl Ho Jae
Aor Bedam Ho Kar Gir Jae

To Rishtay Natay, Piyary Sab
Kab Uski Khaatir Rukty Hen?

Is Dunya Ki Hai Reet Yahi,
Jo Saath Chalo To Saath Bohat
Jo Ruk Jao To Tanha Ho.

                    
YE udaas RAtein MEri Tanhai ko Aisa Urooj Bakhshti HAin,,,,,
"MOhSin"
k mujhe phir wohi, ik Wohi, Bus Wohi SHakhs YAad ATa hai..!!

                    
Ho Ta'aLLuq....Tou RooH Sey Ho..........
DiL Tou AkSeR...Bha'r Bhi JaTaY Hain !!
                    
Jab Tum Laut Aao Tu Saddiyon Ki Umer Laana
K Tere Saath Mujhy Mukhtaser Nahin Rehna...!!!
                    
Tumhara Zarf Hai Ke Tum Ko Mohabbat Bhool Jaati Hai
Hamain To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukaara Yaad Rehta Hai.

                    
Dewana pan , Be Rabt C Baten , Shair-o-Sukhan
Bus yahi kuch hota to hota hai Anjam-e-Muhabba
                    
Momin K Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ
Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ
Milti Nahi Mehshar Me Kisi B Qeemat Par
O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz
                    
‎"Aapka Zikar , Aapki Tamanna , Aapki Baatein .....
Waqt kitna keemati hai in dino....!!!

                    

YE udaas RAtein MEri Tanhai ko Aisa Urooj Bakhshti HAin,,,,,
"MOhSin"
k mujhe phir wohi, ik Wohi, Bus Wohi SHakhs YAad ATa hai..!!


                    
khosi ka ahsas hay na gam ka pta chalta hay
ak hi rsta hay roh ka woh hi sath chalta hay
                    
kal ki baat aur hai, mein aab sa rahoon, Ya na rahoon…
Jitna jee chaahe tera, aaj sata le mujhko!.............

                    
Bohat Socha, Bohat Samjha, Bohat Hi Dair Tak Parkha ♥•*•♥

Ke Tanha Ghutt Ke jee lena Mohabbat Se to Behtar Hai ♥•*•♥
                    
maan sath ha to saya-e-qudrat b sath ha
maan k beghair lagy din b raat ha
main door jaon to us ka mery sar py hath ha
mery leye to meri maan he kainat ha
daman main maan k sirf wafaoon k phool hain
hum sary apni maan k qadmoo ki dool hain
                    
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
honay wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko keh kar apna banaya nahi jata

                    
jafa o jour ke dunya sawaar di hum nay
zahy naseeb k hans kar duzar di hum nay

kali kali humen heranyun say takti hy
k pat jharo,n main saday bahaar di hum nay

khyaal e yaar ke nangen,yu main gum ho kar
jamaal e yaar ke azmat sawaar di hum nay

usay na jeet sakay ga ghum e zamana ab
jo kaynaat teray dar py haar di hum nay

wo zindagi k jisay zindagi say nisbat thi
tumhari zulf e paresha,n py waar di hum nay

kuch aisa sard howa jazba e wafa saghar
khud apni zaat ko hans hans k khaar di hum nay

                    
maan sath ha to saya-e-qudrat b sath ha
maan k beghair lagy din b raat ha
main door jaon to us ka mery sar py hath ha
mery leye to meri maan he kainat ha
daman main maan k sirf wafaoon k phool hain
hum sary apni maan k qadmoo ki dool hain
                    

Ya Allah – Teri Azmaton Say Hoon Bay-Khabar
Ye Meri Nazar Ka Kasoor Hai
Teri Rah?guzar May Kadam Kadam
Kahin Arsh Hai Kahin Toor Hai
Ye Baja Hai Malik-E-Band Agi
Meri Bandagi May Kasoor Hai
Ye Khata Hai Meri Khata Magar
Tera Naam Bhi To Ghafoor Hai
Ye Bata Tujh Se Miloon Kahan
Mujhe Tujh Say Milna Zaroor Hai
Kahin Dil Ki Shart Na Dalna
Abhi Dil Nigahon Say Dur Hai


                    
‎....NA jAne wo BacHpaN ki AmeeRi 
kAhAn kH0 gAyI.......



JaB BarIsH k PaNi mE
hAmaRay bHi
jaHaz ChaLa Krte thE

                    
♥♥♥..•°*”˜˜”*°•.
...•°*”˜˜”*°•.ÐHÅℕI
To All Those Suffering From Sadness Or Depression,
Know That It Isn’t Your Fault.
It Isn’t Because You’re Weak.
... It Isn’t Because You’re Just Not Grateful Enough.
It Isn’t Because You’re Just Not Religious Enough.
It Isn’t Because You Don’t Have Enough Faith.
It Isn’t Because ALLAH Is Angry With You.
To All The Well-Meaning People Who Tell You This, Just Smile.
And Know Deep In Your Heart That The Tests Of ALLAH Come In
Different Forms To Different People.
And Know That, By The Help Of ALLAH, Every Test Can Become
A Tool To Get Closer To Him.
And That, Verily, With Hardship Come Ease - And Like All Things
Of This World - This Too Shall Pass.

                    
Mei Tujhe toot k chahoon to Meri fitrat hy,
Tu b ho Mera talabgar zaruri to nahi!

                    
Meri chahat ki inteha dekhni he to dil se dil laga k dekh
ager tery dil ne dhrakna na chor dia to meri chahat ko thukra dena !!
                    
Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi,
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga.
Sajda Khaaliq ko bhi, iblees say yarana bhi,
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.
                    
khwab aankhon mein prony ki ijazt hai tujy,

shab-e-hijra'n mein b sony ki ijazt hai tujy,

haa'n mujy rasm-e-muhbt ka sleeka hi nhi,

ja kisi or ka hony ki ijazt hai tujy,

main tera rakht-e-safr to nhi ay jan-e-jaha'n,

rasty mein mujy khony ki ijazat hai tujy,

tu ny hi wasl k baagat ugae hn yaha'n,

hijar ki fasl b bony ki ijazat hai tujy,

rat bhar noor ny hai tujh ko jgaya jana'n,

subha hony ko hai sony ki ijazt hai tujhy..-..


                    

Adhooray khwabon k khasta kaghaz, sanbhal rkhna,hisab hoga
Wafa k rishtay jafa ki rut main,bahal rkhna, hisab hoga

Sunehray jazbon ki qdr krna, rafaqaton main waqar rkhna
Andher nagri mein dil jala k,khayal rkhna, hisab hoga

Muhbaton k safeer bn kr, jo chahaton k naqeeb ban'na
Rah-e-wafa mein na tm kisi se,malal rkhna,hisab hoga

Zamany bhr ki ye talkhiyan kyun, ye jabr kesa,ye sabr kaisa
Mere liye tum bas apne lub pe, sawal rkhna ,hisab hoga

♥.•°*”MaaN”*°•.♥

                    

Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai sapna haqiqat ke aage,

koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabat ke aage..!

                    
Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahi
Mere nagmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahi

Mai ne palakon se dar-e-yaar pe dastak di hai
Mai Wo saahil hun jise koi sadaa yaad nahi

Mai ne jin ke liye raahon me bichhayaa tha lahuu
Ham se kahate hain wahi ahad-e-wafaa yaad nahi

Kaise bhar aain sar-e-shaam kisi ki aankhen
Kaise thara_e charaagon ki ziya yaad nahi

Sirf dhundhalaai sitaaron ki chamak dekhi hai
Kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahi

Zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
Jaane kis jurm ki pai hai sazaa yaad nahi

Aao ik sajdaa karen aalam-e-madhahoshi me
Log Kahate hain ke “Mujhey” Khudaa yaad nahi


                    
qaffas ko torr de ya jan se guzar ja
mjboriyun me jeena toheen e zndagi hy ...!
                    
Mera khamosh reh kar bhi unhain sab kuch suna dena
Zuban se kuch na kehna dekh kar aansoo baha dena

Nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra
Ke do tinkey jahan par dekhna bijlee gira dena

Ijazat ho to kehdoon qissa e ulfat sar e mehfil
Mujhey kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena

Men mujrim hoon mujhey iqrar hai jurm e mohabbat ka
Magar pehley khata par ghaur kar lo phir saza dena

Men jiss haalat men pohncha hashr waley khudd pukar utthey
Koi faryaad karne aa raha hai raasta dena

                    
Abhi Masroof hon kafi, kabhi fursat me sochun ga
Ke tujh ko Yaad rakhne main, main kya kya bhol jata hun…..

                    
Loti Falak Se To Bari DIL'Geer Thi DUA..

Ek Khuwaab Tootnay Par MUQADDAR Udaas Tha ...
                    
Uski Aankh Ke Jaadu Ki Har Ik Kahani Sachi,
Mere Dil Ke Khoon Honay Ke Sab Afsaanay Jhootay….!
                    
Bhigi hui ek sham ki dehlez pe bethe

Main dil k sulgny ka sbab soch rha hun

Dunia ki to adat ha bdal leti ha ankhen

Main tere bdlny ka sbab soch rha hun!























                    
Apni Apni Aana'on me Gum.. 

Mein, Mohabbat Or Tum ! ♥
                    
tumhain jo be sabab mujh se khafa honay ki aadat hay,

ye aghaz-e-judai hai ya andaz-e-muhabbat hay

                    
Tu Kiya Bechra Hai Mujh Se Apni Zaat Bechar Gaie
Ho Jaaongi Tanha Is Qadar Kabhi Socha Na Tha.
                    
Mera Saawan B Tum Ho Meri Pyaas B Tum Ho,
Sehra Ki Baahon Mein Chupi Aas B Tum Ho,

Tum Yun To Bohat Door! Bohat Door Ho Mujhse,
Ehsaas Ye Hota Hai Mere Paas B Tum Ho,
...
Har Zakham Ki Aaghosh Mein Ha Dard Tumhara,
Har Dard Mein Taskeen Ka Ehsaas B Tum Ho,

Kho Jao To Veeran Si Ho Jaati Hein Rahein,
Mil Jao To Phir Jeenay Ka Ehsaas B Tum Ho,

Likhta Hoon To Tum Hi Utartay Ho Qalam Se,
Parhta Hun To Lehja B Tum, Aawaz B Tum Ho…!

                    
Saarey waadon ko bhula saktI hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja saktI hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho
khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney
wali,
us per main muskura b saktI hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila saktI hun,
lekin rehne do....!!!


                    
Muravatein Hi Sahi Magar Ek Baat Batlao . . .
Masroof Ho Ya Bhoolna Chah Rahay Ho . . . !!
                    
Tere Liye To Ek Khuwab Tha, Aaya Aur Guzar Gaya ...!!!
MOHSIN..!!!
Par Dekh Zara Meri To Hasti Hi Bikhar Gayi hai.............
                    
‎|*| zakhm muskuraate hain ab bhi teri aahat par
|*| dard bhOOl jaate hain ab bhi teri aahat par
|*| shabnami sitaarOn par phOOl khilne lagte hain
|*| chaand muskuraataa hai ab bhi teri aahat par
|*| aur tum kahte hO magrOOr hum lagte hain
... |*| chaunk-chaunk jaate hain ab bhi teri aahat par !!!

                    
‎,,,,,,,Kissi kay yun bicharnay per,,,,,,,
,,,,,,,,Kissi kay yaad aanay per,,,,,,,,,

,,,,,,Bohut say loog rootey hain,,,,,,,,
,,,,,,,,,K roona aik riwayat hai,,,,,,,,,,
... ...
,,,,Main inn pur-paich rahoon per,,,,
,,,Ghamm-e-janna say ghabra ker,,,

,,,,,,,,,Riwayat torr jata hoon,,,,,,,,,,
,,,,,,,TUMHARI yaad aanay per,,,,,,,
,,,,,Main aksar muskarata hoon,,,,,,,,

                    
Kuch pal hoty hain kuch pal k liye,

G lo inhen hr pal k liye,

Ye waqt to rait ki trah phisal jaye ga,

Reh jaain gi yaden umar bhr k liye...

                    
Apny Mathy Par Saja Lo Her Ik Pathar Ki Zaarb
Ishq Kar Bathay Ho Lazim Hy Bymisal Saza Pao Gy

                    
Woh ek khat jo us ne Kabhi likha hi nehi
Main rooz baith k uska jawab likhta hun...
                    
Gulaab Chehre Pe Muskuraahat 
Chamakti Aankhon Men Shokh Jazbe 
Voh Jab Bhii College Ki Siirhiion Se 
Sahelion Ko Liye Utarti 
To Aise Lagta Tha Jaise dil Men Utar Rahi Ho 
Kuch Is Tayaqqun Se Baat Karti Thii Jaise Duniya
Usii Ki Aankhon Se Dekhti Ho
Voh Apne Raste Men Dil Bichhaati Hui Nighaahon Se Hans Ke Kehti
"tumhaare Jaise Bahut Se Larkon Se Main Yeh Baaten
Bahut Se Barson Se Sun Rahi Huun!
Main Saahilon Ki Hawa Huun, Niile Samandaron Ke Liye Bani Huun!"
Voh Saahilon Ki Hawa Si Larki
Jo Raah Chalti To Aise Lagtaa Tha Jaise Dil Men Utar Rahi Ho
Voh Kal Mili To Is Tarah Thi
Chamakti Aankhon Men Shokh Jazbe, Gulab Chehre Pe Muskuraahat
K Jaise Chaandi Pighal Rahi Ho
Magar Jo Boli To Us Ke Lehje Men Voh Thakan Thi
K Jaise Sadion Se Dasht-E-Zulmat Men Chal Rahi Ho!

                    
Mujhe zindagi mein qadam qadam pe tere raza ki talash hai

Tere ishq mein ay mere Khuda ! Muje inteha ki talash hai

                    

BE NOOR C LAGTI HAI, TM SE BICHARR K YE FIZA,,,,,
AB CHARAAGH TOU JALTEY HAIN,MGR UJAALA NHI KRTEY,,,,,,,

                    
Bin Terey Kaisey Gham-e-Zeest Gawara ker Len
Es sey Behter hai keh Duniya se Kinara ker Len

Sath Mumkin nhi Chalna to Chalo Youn-hee Sahee
Door sey hee Terey Chehray ka Nazara ker Len

Aaj tak ho na Saka Too tu hamra Lekan
Kyon na ham Khud ko meri Jan Tumara Ker Len

Qurbate’n Apney Muqadar mein nhi hen Shayad
Kyon na ham Hijer ko Qismat ka Sitara Ker Len

Mumkin hai keh phir wo na rahey, Main na Rahoon
Un se keh Do keh Merey Dard ka Nazara ker Len

                    
Main tere lab pe hon dereena shikayt ki trah

yaad rakha hy mujhe tu ne adawatki trah

chaand nikly to mera jism mehek uth'ta hy

rooh me utri hoi taza muhabbat ki trah

teri khatir to koi jaan b ly skta hon

main ne chaha hy tujhe gaon ki izat ki trah

ab tere hijr me kuch lutf nahi hy baaki

ab tujhe yaad b krty hain to aadat ki trah

tum meri pehli muhabbat to nahi ho lekin

main ne chaha hy tumhain pehli muhabbat ki trah

wo jo aati hy to phr lout k jati hi nahi

tum lipat jao kabi aesi museebat kitrah

mere dil me koi masoom sa bacha hy (WASI)

jo tujhe sochta rehta hy shararat kitrah..


                    
Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa 
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se
                    

TM YAAD ZRA NHI AIE HO,,,,
LO SAAL KA PEHLA JHOOT SUNO.............


                    
Ki Muhabbat To Siyasat Ka Chalan Chor Diya..

Hum Ager ISHQ Na Kerty To Hukomat Karte....

                    
Apno Ki Chahaton Ne Diya Aisa Kuch Faraib....

Rotey Rahe Lipat K Har Ik Ajnabi Se Hum...
                    

Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna….


                    
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….

                    
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!
                    
Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz
Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..
                    
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,

                    
Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,
Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,
                    
Usay Kehna k us ki yaad mein Be'Had Azeeyat hai
Ya apna Naqsh dhoo jaye, Ya phir Mera he ho jayeee...!!
                    

Kesy Bhool Gaya Wo Sath Guzrey Huye Din?
Lagta Nahi Tha Dil Jiska Mery Bin

Doston Se Kaha Karta Tha Wo Bhi
Kia Ye Bhi Jee Sakey Ga Mery Bin

Mazaq Ban Jaya Karta Tha Wo Doston Mein
Khud Ko Tanha Smajhta Tha Wo Mery Bin

Esy Had-e-Deewangi Kahun Ya Pagal Pan?
Tasawur Mein Wo Batein Kia Karta Tha Mery Bin

Wo Mosamo K Badalny Se Darta Nahi Tha
Par Baharon Mein Murjha Jaya Karta Tha Mery Bin

Ab Aas Toot Gai Hai Us K Aany Ki
Lagta Hai Wo Jeena Seekh Gaya Mery Bin..!!!!


                    
ajnabi shehr k
Ajnabi raste
Meri tanhai pe
Muskurate rahe

Mein bhot der tak
Yunhi chalta raha
Tum bhot der tak
Yaad aate rahe,

                    
Ek shayar garibi se tang aakar daku ban gaya.. daketi karne bank gaya.. or kaha......... .. ... ... ... arz kiya hai.. "taqdeer me jo hai wahi milega hands up.. koi apni jagah se nahi hilega..." . phir cashear se kaha.. kuch khawab meri aankho se nikal do jo kuch bhi hai jaldi se is beg me dal do. .. bahut koshish karta hu teri yaad bhulane ki koi koshish nahi karega police ko bulane ki ... bhula dena mujko kya jata he tera main goli mar dunga usko jo picha karega mera...p
                    
Main aksar usey kehta hoon tum shor bohat machati ho
Phir wo mujh se kehti hai
Jab kalai meri tum pakro ge CHOORI to meri khankey gi
CHOORI ka shor to hota hai

... ...Jab pyar se mujhey bulao ge tab dorr ke main ayungi
Phir PAYAL meri khankey gi
PAYAL ka shor to hota hai

Zulf meri suljhaatey huye jb GJREY ko bikhrao ge
Tab saansein meri mehkein gi
Sanson ka shor to hota hai.........!!


                    
pichle baras the khaof tumhe kho na dun kahin,
ab k baras dua hai tera saamna na ho kahin.
                    
Tikana Qabr Hay Ibadat Kuch To Kar
'GHALIB'

Suna Hay Hali Hath Kisi K Ghar Jaya Nhi Kartay...
                    











na tol apni dosti ko bedaam tarazoo main dost

tou kitna anmol hai kabhi pouch meri nigaho se...

                    
Kitni he Zindgian Ujaar Betha hai…
Es IShq ko mout kiun nahi aati.....
                    
ajab paheliyan hain ye haath ki laakiron mein,

safar likhay hain magar manzil nahin likhi....
                    
Sochte Hain Seekh lain Hum Bhi Berukhi karna,
Sab ko Mohabbat Dete Dete hum ne apni Qadar Kho di....

                    
‎" ♥___________ MOHABBAT KHO NAHI JAATI ___________♥ "

Guzre Paloon Ke Lamhoon Ka Taqaza Bhul Jaane Se....... !
MOHABBAT Kho Nahi Jaati Yun Nazrein Churaane Se....... !
" ♥___________IT'S MY OWN___________♥ "

.....................(¯`v´¯)
.....................`·.¸.·´
............................................................................................................................................................¸.·´¸.·¨) ¸.·¨)
.....................(¸.·´ (¸.·´ (¸.·¨¯`♥
_____________♥♥ " DIYA ALI " ♥♥__________
                    
Karam Maangta Hoon, Ataa Maangta Hoon,
ILAHI Main Tujhse Duaa Mangta Hoon,
Ataa Kar Tu Shaane Kareemi Ka Saqda,
Dilaa de ILAHI Raheemi Ka Sadqa,
Na Maangu ga Tujhse, To Maangu Ga Kis Se,
Tera Hi Hoon Main Tujhse Duaa Maangta Hoon,
Jo Muflis Hain, Unko Tu Daulat Ataa Kar,
Jo Beemaar Hain, Unko Tu Sehat Ataa Kar,
Mareezon Ki Khaatir Shifaa Maangta Hoon,
Tera Hoon Main Tujhse Duaa Maangta Hoon. !AAMEEN!

                    
Tum Humari Yaadon Mein Har Pal Muskuraoge 
Agar Roye Kabhi To Rota Hua Hume Paoge 
Hum Door Bhale Ho Magar Aansu Pochh Denge Tumhare 
Kyuki Jaante Hain Yeh Bheegi Palke Leke Kaha Jaoge ..

                    
Na umang dil mein rahi koi
Na zehan mein koi sawaal hai

Ye jo gardishein hain hayaat par
Meri khawahishon ka kamaal hai

Main ne kab kaha main haseen hoon
Ya mohabbaton ka ameen hoon

Meri guftagoo mera aaina
Mera zauq meri misaal hai

                    
Jab Tum Laut Aao Tu Saddiyon Ki Umer Laana

K Tere Saath Mujhy Mukhtaser Nahin Rehna
                    
Dil Ki Dunya Ko Uski Yaadon Say Sajayengay Hum,
Har Haseen Yaad Dil Mein Uski Basayengay Hum,

Bewafai Ka Gila Tak Nahi Karengay Kabhi,
Raah Mein Mil Bhi Gaya Tou Anjaan Ban Jayengay Hum,

Jab Kabhi Jo Dil Tarap K Pukare Ga Usay,
Ek Naya Zakham Dil Par Apne Lagayengay Hum,

Uski Khwahish Hai Bhool Jao Waaday Qasmein Sabhi,
Koshish Karengay Huqam Uska Ye Nibhayengay Hum,

Dil Ki Jaga Wo Dharakta Hai Seenay Mein,
Dharkan Ko Rok Kar Usay Bhool Dikhaengay Hum,

Phir Na Hoga Zamaney Mein Ruswa Kabhi Pyar,
Jism Ki Khaak Ko Ab Khaak Mein Hi Milayengay Hum...


                    

Tujhe kya khabar teri yaad ne mujhe kaise kaise sata diya,

Kabhi khilwato me hasa diya,kabhi mehfilo me rula diya,

Tere ishq me kabhi yun hua ke namaz meri qaza hui,

Teri aarzu ne kabhi kabhi mujhe mere rab se mila diya.....

                    

¸.•°*”˜˜”*°•.
.Yaad Rakhoo Tu Dil K Paas Hain Hum
Bhool Jao Tu Fasla Bohat Hy......!!!!!

                    

Na Jane Kyun Ye Raat Udas Ker Deti Hai Har Roz Munir........!
Mehsoos Yun Hota Hai Jaise Bichar Raha Hai Sub Kuch Dheere Dheere........!


                    
Tujh Se Milta Hoon Tu Is Soch Mein Par Jata Hoon,

Ke Waqt Ke Paao'n Mein Zanjeer Main Daalo'N Kaise.
                    
Kesa Waqt Hai Us se Fursat Nahi Mujhe Yad Krne Ki,,,
Kabhi Woh Shaksh Meri He Sanso Se Jeya Krta Tha ..!
                    
W0 mere r0bar00 aya bhi t0 barish0n k m0sam main,

Mere ans00 beh rahay thay, aur w0 barsaat samajh betha..!!

                    
yun jalaaty Ho jesy Isko jalaa'na 'SAWAB' Hai

DIL Hai mera koi Chiraagh_e_ masjed to Nahi..
                    
Taa'luq tor do lekin Mujhe itna toh Batla do!!!!!
K Iske baad dunya mai meri Pehchan Kia hogi...
                    
Aj kal zindagi kuch eysi udas rehti hay,

jeisy smandar ke dil me pyas rehti hay,

jane kio wohi log ho jate hain door humsey,

ke har pal jin sey milne ki aas rhti hay...


                    
tu jo bichray to milay dard 
qayamat jaisa

tujh se kaisa ye taluq hai
mohabat jaisa

jisko chaho use ehsas-e-judai na do

silsla pyar ka rakho to ibadat jaisa!!!!!!!

                    
wo shakhs jab b muj se
milta tha,

har baar masomiyat se muj
se pocha karta tha,

k tum mere he ho na,
or main har bar us k
chehre ko

apne haathon se choo kar
qasm khaya karta tha,

par

kaash!

main ne eik baar he us se
poch liya hota

k tum b mere ho na.......

                    
Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena,
!! Ager Mohabat Yehi hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Andhair Nagri Mein Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai...!!!


                    

Mitti hai hath mai mairy,

choo kr to sona kr skti hai,

mairy Lub pr Apny Lub ko Bicha kr,

Maire Zindage ko Badl Skti Hai,

Tjhy Aitebar to hai Maire Muhubt Pr,

Phr Q mjhsy Tou Nhe Mila Krti Hai,

BY:: BASIL SIDDIQIUI::

                    
Bardasht Nahi Hoti Ab Mujh Se Ye Sharakat ...!!
To Mujh Ko Yaad Rakh Ya Duniya Ko Bhool Ja....!!
                    
Ya Mustafa (salALLAHu Aliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallm)
Ataa Ho Phir Izn Hazri Ka,,
Kar Loon Nazara Aa kar Phir Apki Gali Ka,,, ♥ ♥

.

~salALLAHu Aliehi wa Aalihi wa Sahbihi wa Sallm~
=Pakizah


                    

Ajj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakoon ''SABA''

Yaad Phir Aai Hai Nendon Ko Urhane Wali....!!


                    
Is dunia me wafa karne walo ki kami nai hai FARAZ,

Bs payar hi us se ho jata hai jo Bewafa ho.
                    

A Girl’s Heart Desire

Sometimes,
I want to open my hijab,
and show the world,
... that I too,
am beautiful in the people’s definition.

But,
deep down here,
in my little heart,
I know that beauty is by definition,
a mystery.
and it is forever more rewarding,
to be beautiful in God’s eyes.

Sometimes,
I want to wear ruffled dresses and tight jeans,
show off what I really look like,
under those baggy shirts and loosely fitted pants,
make a statement,
that I too,
have a figure and worth looking at.

But,
I know better,
to avoid entering the world of men’s imagination,
for I love my future husband,
and I am ashamed,
what should be his, has already been unveiled by others.

Sometimes,
I want to show the world,
the other side of me,
the bubblier, bolder, and crazier me.
put myself on display,
for everyone to see,
to be desired, and admired upon.

But,
I know that eyes are not just eyes,
seeing is not just seeing,
image and respect are gained,
shame and humility deserve a better placE.


                    
Dil k dard ko chupana kitna mushkil hai,

Toot k phir muskrana kitna mushkil hai,

Door tak jab chalo kisi k sath tu phir,

Tanha laut k Aana kitna mushkil hay...

                    

Woh Kehti Hay......

Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay

Woh Kehti Hay
Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon....
Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!

Woh Kehti Hay
Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon...
Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

Woh Kehti Hay
Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon...
Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi...!

Woh Kehti Hay
Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon...
K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay...!

Woh Kehti Hay
Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon...
Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na..

                    
Bagair mere tujhe chain aa nahi sakta,
mere jawaab kahin se tu laa nahi sakta

Hazaar parde bhi dalo agar banawat ke,
dilon ki baat ko chehra chupaa nahi sakta

Bana diya zamaane ne dil ko patthar ka,
sataye koi bhi mujhko rula nahi sakta

Hasin taaj mahal ke banaane wala bhi,
dilon ke tute gharaunde bana nahi sakta!!


                    
Door Rehne walon ki ik ik Bat saza Deti hai,

Hmko to har jane wali Rat Rula Deti hai,

Wese to hm Dil k Bare Pakke hein,

Bus kabi kabi kise ki Yad Rula Deti hai...

                    

Aj Usny Meri Mhabbat Me Kisi Ko Shareek Kia Tou Ehsaas Hua
!. . . .Yaa ALLAH. . .!
K Tu Shirk Krny Wal0n Ko Maaf Q Nahi Karta...

                    

h0 SaKy To0 Koi Rasta Bata0 ..!

Muhabbat Se Wapsi ka.............?


                    

Tumain dekh kar aaj khud se kuch chupaya maine,
Tumain khabar na ho k aj bhi hum tanhai k aziz yar hain…

                    

Arq Aalod Jabeen,Neechi Nazar, Lub Khamosh . . .
Bewafayi Pe Kahin Aap Pasheman Tu Nahi .

                    

Kya Khob Passand Thi Teri Ay Farishta_e_Ajal

Tu Ne Phool Hi Wo Chuna Jo Sary Gulshan Ko Aziz Tha


                    
Sardyon ki raat...,
Meri khirki ka chaand..
aur karwatain badlta main...,
Na raat katay..
Na chand dhalay...
Na tum ao..
Na nend aye..
                    
Bichar Kar Mujh Se Khalq Ko Aziz Ho Giya Hy Tu,
Mujhy To Jo Koi Mila Tujhi Ka Pochta Raha…………@
 


1 comment: