Search This Blog

Thursday, 19 January 2012

Romantic Poetry

eak choti si baat jo zindgi badal de.
yad rakho hamesha pyar main mazaq zroor kro
lykin kabi kisi se mazaq main pyar mat kro


Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna!
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna!

Bachaa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se!
Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna!

Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna!
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna..


ye mat soch k tm ne chorr diya tu mein toot gaie thi
chahny waley bht they jo hum ne chorre they apki khatir


Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna!
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna!

BachAa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se!
Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna!

Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna!
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna..


agar vafa ka mtlb janna hy to ek phool ko hath se toor dalo kuch dair bad wo murjha jay ga yahi to wafa hy


Tum kahan kho gaye,
kaise gum ho gaye,
Tapti dopahar mein,
barfili sard raaton me
aksar yaad aate ho,
Mujse na sahi,
in hawaon se keh do,
Yeh hawayein aa-kar kano mein keh dengi,
Phir laut ke aane ko majbur kar dengi,
Main laut ke aaunga tumhare paas,
Yeh bandhan prem ka hai, dosti ka


Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai

K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai

Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta

Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama


Mohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhaana Seekh Jaoge
Dilo Pe Qarz Jaisi Hai
Chukaana Seekh Jaoge
Labo Pe Phool Jaisi Hai
Khilaana Seekh Jaoge
Nazar Mein Aag Jaisi Hai
Lagaana Seekh Jaoge
Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitaana Seekh Jaoge
Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe
Zamaana Bhool Jaoge


Anko mein sama jaty dil mein utar jaty
dono ka bhala hota dono sanwar jaty


kate nai katte din intezar ke
kate nai katte nazre jama ke
bethe hain raste pe yr ke
dil ne kha ye chand he
aya he kun inhen falak se utar ke


kuch tabiyat hi mili thi aesi keh
chain se jeene ji surat na hui
jisey chaha usay pa na sake
aur jo mila us se mohabbat na hui


Sb So Gay khushi khushi apna hal-e-dill sun kar,
mera koi nahe jo mujhy poochy tum Q Jag Rhy ho?


tumhen yad krna acha lgta hy
tumhen sochna acha lgta hy

tum se door rehna ab mushkel lgta hy
tumhare sms ayen to acha lgta hy


sary sapne kahin kho gay
haaye hum kya se kya ho gaye


ye mat soch k tm ne chorr diya tu mein toot gaie thi
chahny waley bht they jo hum ne chorr they apki khatir


Utha haath aor maang ly Rab sy usy Babar
deta to har rooz hai wohi per is din ki kuch aor baat hai
jumma mubbarak .


Small but True/
Na koi kissi sy dor hota ha.
Na koi kisi k kareeb hota ha
Zindgi khud he nazdeek ly ati ha
Jab koi kisi k naseeb ma hota ha


Tamna us k jisam ki hoti to
dunya se cheen leta ibne adam

mera pyar us ki rooh se hai
is liye use rab se mangta hn


Hum hai wafa parast wafa karte rahe gain
hai jurm tou yeh jurm hum sada karte rahe gain

ae dost kuda rakhe sada tujh ko salamat
hum tere liye yeh dua karte rahe gain


EK DIN JUB HUM DUNIYA CHOR JAYEN GY
MAT SOCHNA AP KO BHOOL JAYEN GY

BS AIK BAAR ANKHEIN BAND KR K KHOLNA
HUM BAN K ANSOO PALKON PR UTR AYEN GY


Hazaar chehron me us ki mushahbatain mili mujh ko mohsin
par dil ki zid thi agr wo nahi to us jaisa b nahi


..,*,...
('//\\')
('{¤'_'¤'}')
(,,_/\¥/\_,,)
(,,,,,/''''\,,,,,)
""||""
Never Expect Anything
In Return from Anyone..'

But the Truth Is:
When We Really Love Someone;
We Naturally Expect
A Little Care from Them....


Zameen ka kaghaz ho samandar ho sihai ka
Qalam likh nhi sakta dastaan judai ka


Kaise bhula dite hain log teri is khudai ko ya raab
mujh se to tera banya howa aik shakhs bhulya nahi jata


Wo sach hi kahta tha k teri muskrahat se pyar hai
q k jate jate meri muskraht bhi sath le gya


Wo rootha rootha sa lagta hai
koi tarkeeb batao mananye ki dosto

main zindagi girvi rakh sakta hon
wo sirf qeemat batae muskrane ki


Wo Mujh Se Dor Ho Kr Khush Hai To Use Khush Rehney Do Dosto
Mujhe Apni Chahat Se Ziada Uski Khushi Pasand Hai


Wo Aur Hon Ge Jinhe Teri Zaat Se Ho Gharz Aye Dost
Hum Har Doar Me Tujhe Milein Ge Be-Matlb Ho Ke


suna hai pyaar kernyin waly ajeeb hoty hain
gam k badly khush naseeb hoty hain
mery dost mhabbat tum zarur kerna ,
ku k pyaar kernyin waly bary khush naseeb hoty hain


Koi humein kaise juda kr paye ga mazhar
kiya kisi ne phool se khushboo ko juda hote dikha hai


Aik pal bhi teri yad se Ghafil nahi huwa !
Main mazhab-e-wafa ka tahajjud guzaar hoon !


Piyar or barish dono aik jaisy hain jo hamesha
yaadgaar hoty hn
barish jism bhigoti ha
OR
pyar ankhen.


Agar tum ye sochtai ho
k pori dunia tum se payar karti hai
to aun mein se aik mein bhi hon

Agar tum ye sochtai ho
k kuch log tum se payar kartain hain
to aun mein se aik mein bhi hoon

Agar tum ye sochtai ho
k sirf aik banada tum se payar karta hai
to woh mein hoon

Agar tum ye sochtai ho
k tum se koi nahi payar karta hai
to mein ais duniya mein nahi hoon


Mousam b hai suhana,
Barish b ho rahi hai,

Bas ik kami hia jana,
Teri yad aa rahi hai,
Teri yad aa rahi hia...!!


Sari umar apna banaty rahy phir b hamry na huey Sheraz
Pata nai kon c wo Mohabat thi jo hum na de saky


Jo samajh sako tarap es dil ki to suno..
Tumhi ko es dil ki hai dharkan mana...!!!


Qissa e zindagi kitna mukhtasir hai dekho ..
Tumhi se shuru tumhi pe khatam...!!!


Teri doori ne bana dia shair mujh ko...
Jo zara tanhai mili, tujhe haal e dil likh dala... !!!


din hai kuch bujha sa, raat hai kuch kathan si..
mohabat ki hai ye sazish, or kisi ka kamal nai...!!!


Umeed na rakhna Sache pyaar sy aye Jaana
bare pyaar se dhoka dety hy Shidat sy chahne Wale


Kisi manoos lamhey mein, kisi manoos chehre se
Mohabbat ki nahin jati, mohabbat ho hi jati hai..


“I love you for what you are,
but I love you yet more
for what you are going to be.

I love you not so much for your realities
as for your ideals.

I pray for your desires that they may be great,
rather than for your satisfactions,

which may be so hazardously little.
You are going forward toward
something great.

I am on the way with you,
and therefore I love you.”


I May Be Not The One You Dreamed Of,
But This Is True That,
You Are The One I Dreamed Of.

I May Be Not The One You Re Waiting For,
But This Is True That,
I Will Wait For You Till I Die.

I May Be Not The One You Loved The Most,
But This Is True That,
You R The One I Love The Most.


Ultimate Truth of Love

Love Is What ...
Can Be Felt Not Told

It Can Be Given
Not Sold

It Comes When
You Least Expect It

&

Leaves You When
You Most Need It ...


GirlFriend to her BoyFriend:
What Is Love ? ?
People Talk So Much About
Love But I Don’t Really Know
What It Is . . . ?

BF (Replied):
When I Get Angry On You
& You Try To Persuade Me
That Feeling Is Love,

When I Don’t Talk To You
& You Get Worried About Me
That Is Called Love,

When You Care For Me
Whenever I M Sick Or In Pain,
That Is Love,

And

Finally When You Get Scared
Even From The Thought Of Us
Being Apart From Each Other,
This Scary Feeling Is Called Love


Flowers open to see you.
Rains drop to touch you.
The sun rises to cherish you.
I am born to love you.

I love you.


"IF you want 2 see how rich you are donot count your money
just drop ur tears & then see how many hands are there to catch them.."
"faani - dunya"


Daar lagta hai hum ko un aankhon say "jani "
Naqab main reh kr bhi jo dilow pay waar karti hai...!


Ye Jo Rafaqaton Ki Khawahishon Me Dil-e-Muntazir Hai Parra Huwa
Issay Kya Khabar K Judaion K Azab Kitney Shadeed Hotey Hain


Tu Yaad Na Kia Kar Hum Jese Mohabat K Faqeeron Ko
Hum Khud Ko Mita Dete Hain Kisi Ki Yaad Me Aksar


Main kiun pukaru usey k lot aao Sheraz
kia usey khabar nai k kuch nai mery pass uss k siwa


Khud he roey ro ro k chup ho gay SHeraz
Yahi soch kar ajj koi apna hota to rony na deta


Tum ne he kaha thah k aankh bar k dikh lia karo mujy Sheraz
Ab aankh to bar ati hai par tum nazar nai atey


HOON TU KHAFA US se Per jane phir b q
Na chah kar b usko chahna acha lagta hay

Haqqeqat se hun door Ye mujh ko hay pata
Per jan k anjaan reh na acha lagta hay

Qayel nahi piyar me kuch bhi kehne ki
magar kabhi kabhi kuch us se kehna acha lagta hay

Wo mera tha , wo mera hay , who mera rehega
Kuch pal is khwab me aa jana acha lagta hay


Utray Jo zindagi Teri Gehraiyon Mein Hum
Mehfil MEin Reh k b Rahy Tanhaiyon Mein Hum

Isy Deewangi NahiTo OR Kya Kahain
Pyar Dhondty Rahy perchaiyon Mein Hum


us chand ka aur mere yaar ka mizaj milta julta hai
wohi husn wohi garor wohi dori


HOON TU KHAFA US se Per jane phir b q
Na chah kar b usko chahna acha lagta hay
Haqqeqat se hun door Ye mujh ko hay pata
Per jan k anjaan reh na acha lagta hay
Qayel nahi piyar me kuch bhi kehne ki
magar kabhi kabhi kuch us se kehna acha lagta hay
Wo mera tha , wo mera hay , who mera rehega
Kuch pal is khwab me aa jana acha lagta hay


mai jis ki khater muhabbatoo ki har 1 had se guzar gaya hoo
wo ajj b muj se pochtha hai k sah batawo wafa karo ge


koi pal hu tere sath ka jo meri umar bhar ko smait le
main fana baqa k sbhi safar usi ik pal main guzar doon


akhir ik din
us nai mujh say keh hi dala
mujh par bhi aoik nazam kaho tum
aise nazam
kay jis main mera naam na aye
main khud aaon


GUZARTAY SAAL KI
BAS YE HI EK DUA HAI
HAR SAAL JAANAM
TERE WAJOOD KI ROSHNI MERE GIRD
UJALA BANI RAHAY
MERA MAN ANGAN
TERE QURB SAY MEHKTA RAHAY
TERI MOHABBATON KI PHUHAAR
YUN HI BARASTI RAHAY
OR
MERI WAFAON KE DEEP
YUN HI JALTAY RAHAIN

MAIN JANTA HOON KE YE HO NAHI SAKTA


Chooryaan hath mein thin
aur hathon mein uska haath b tha
sham-e-tanhayi bhi thi
rung aur noor ki barsaat b thi
mosamon ka junoon urooj per tha
dharkanon per b ikhtiyar na tha

uski madhosh nigahon mein talab pyar ka tha
kaanpte hathon se uske shugufta hathon mein
choorhyaan mujhse na pehnayi gayin
haan mager hath ghayal ho hi gaye
usne nazerein jhuka kar itna hi kaha
jayiye aapse nahi bolti
aapse itna bhi nahi hota..!!


koi bhi rog de dena
koi bhi naam de dena

nahi subah suhani to

ghamon ki shaam de dena...

magar itni guzarish Hay...

meri taariq raaton se

tum apni chahton ki Lau

kabhi maddham nahi karna

Muhabbat kam nahi karna...!!!


Jb Yaad Ka
Angn Kholon to,

Kuch Log Boht Yad aty Hen,

Me guzry dino
ko Sochon to,

Kuch Log Boht Yaad aty Hen,

Ab Jany Kis Nagri Me, Soi Pari Hy Mudat Sy,

Me Raat Gaye Tak Jagon to,

Kuch Log Boht Yaad aty Hen,

Kuch Batein Theen Pholon Jesi,

Kuch Khushbo Jesy Lehjy thy,

Me
Sheher-e-Chaman Me Tehlon to,

Kuch Log Boht Yaad aty Hen,

Wo Pal Bhar ki Narazgiyan or
Maan B Jana pal Bhar Me,

Ab Khud Sy Jb b Rothoon to,

Kuch Log Boht Yaad ate Hen,


Ay Maa, Piyari Maa


Bohat din howay hai

Mein roya naheen hoon,

Yeh raaten gawa hain,

Meh soya naheen hoon,

Meh rukh kay tere godhdmein apnay sir ko,

Bohat din howay hain kay

Roya naheen hoon.


Me Beti Ban Kar Ai Hon Maa Baap K Jeevan me

Basera Hoga Kal Mera Ksi Or K Angan Me

Qk Ye Reet KHUDA Ne Banai Hogi

Kehte Hain Aj Nhi To Kal Beti Parai Hogi

De K Janam Paal Kar HmKo Bara Kia

Waqt Aane Pe Unhi Hatho Se Vida Kia

Q Rishta Hmara Itna Ajib Hota He

Kia Bas Yehi Hum BETIYON Ka Naseeb Hota Hai.....



FrOm My Sis .....!!!!!!


Beti....................

Mujhy Itna Pyaar Na Do Baba,
Kal Janay Mujhy Nasib Na Ho...
Ye Jo Maatha Chuma Kertay Ho,
Kal Is Per Shikan Ajeeb Na Ho...
Main Jab Bhi Roti Hoon Baba...
Tum Ansu Poncha Kertay Ho,
Mujhy Itni Dour Na Chhor Ana,
Main Roun Aor Tum Qareeb Na Ho...
Meray Naaz Othatay Ho Baba,
Mujhy Laad Ludatay Ho Baba,
Meri Chhoti Chhoti Khahish Per
Tum Jan Lutatay Ho Baba...
Kal Aisa Ho Ek Nagri Main,
Main Tanha Tum Ko Yaad Karon ,
Aor Ro Ro Ker Feryaad Karon ...
Aye Allah Meray Baba Sa
Koi Pyaar Jtanay Wala Ho,
Meray Naaz Othanay Wala Ho...
Meray Baba Mujh Se Ehd Karo,
Mujhy Tum Chhupa Ker Rakho Gay...
Dunya Ki Zalim Nazroon Se,
Mujhy Tum Chhupa Ker Rakho Gay....

Baba..................

Her Dam Aisa Kab Ho Paya Hy
Jo Soch Rahe Ho Meri Noor Tum,
Woh Sab Tou Bs Ek Maya Hy..
Koi Baap Apni Beti Ko,
Kab Janay Se Rook Paya Hy...
Sach Kehtay Hain Dunya Walay,
Beti Tou Dhan Praya Hy...
Gher Gher Ki Yahe Kahani Hy...
Dunya Ki Reet Purani Hy..
Her Baap Nibhata Aya Hy..
Teray Baba Ko Bhi Nibhani Hy.....


¤~Short Text But It Is Nice~¤


Main Woh Badnaseeb Ladki Hoon,

Jis Ko Pehli Raat,

Koi Ghoongat Utha Kar Yeh Keh De....

Mera Sab Kuch Tera Hai,

Dil K Siwa....!!

Uffffffffffffffff


*<<< Tumhain Bhol Jaoon >>>*

Tum Jo Kehte Ho Mujhe K ...

Main Tumhain Bhool JaOon !

Agar Tumhari Yehi Arzo Hai Tu Phir ...

Mere Chand Shartain Hain agar Poori Kar Sako Tu !

Agar Tum Mujhe Samandar Ki Mojon Ko ...

Taqseem Kar K Dikhao !

Dikhao Mujhe Falak Ki Bulandiyon Ko ...

Muthi Main Qaid Kar K !

Tu Phir Main Tumhain Bhoolne Ki Koshsih Karoon Gi ...

Agar Tum Mujhe Sitaron Bhari Subah Dikhao !

Aur Dikhao Mujhe Shab Ko Ubharta Hua Sooraj ...

Tu Phir Main Tumhain Bhoolne Ki Koshsih Karoon Gi !

Agar Tum Mujhe Ragon Main Gardish ...

Karti Hui Dharkan Sunao !

Aur Dikhao Mujhe Woh Zameen ...

Jo Meena Barsati Ho !

Tu Phir Main Tumhain Bhoolne Ki Koshsih Karoon Gi ...

Aur Agar Tum Aaisa Kar Sako Tu ...

Tu Phir Main Khud Ko Taqseem Karne Ko Tayar Hoon ...

Aur Phir Main Tumhain Bhoolne Ki Koshsih Karoon Gi...~*~


Saanvli Si Ik Larki

Aarzoo K Gaon Mein

Intizaar Karti Thii

Uss Ki Zindagi Mein Bhi

Ik Bahaar Aa Jaey

Uss Ki Duniya Mein Koi

Lay Kay Piyaar Aa Jaey

Sapnay Boonti Rehti Thii

Saanvli Si Aik Larki





Rut Haseen Ayi Kesi

Aayaa Jub Wo Pardesi

Muskura Diya Jeevan

Phool Khil Rahay Aangan

Saanvli Si Larki Nay

Piyaar Paa Liya Aapnaa

Jo Sajaya Thaa Uss Nay

Such Hoova Wohi Sapna

Khud Pay Naaz Karti Thii

Sanvlii Si Aik Larki





Saavli Si Larkii

Yay Raaz Samajhti Thii

Chaar Din Ki Baatein Hein

Aagey Ghum Ki Raatein Hein

Yay Jo Raahi Aayaa Hay

Siraf Ik Waqti Saayaa Hay

Jeewan Ki Tapti Dhoop Mein

Har Aik Saayaa Paraya Hay

Haqeeqat Ko Such Samajhti Thii

Saanvli Si Aik Larki....


Story:
1 Din Ek Pagal Lrki Phulon Se Khel Rahi Thi

Halke Halke Baaten Kar K Phulon Ko Bosay De K..

Shayad Kuch Soch Rahi Thi..
Yakayak 1 Kantay Ne Aa K Us K Honton Ko Zakham Bakhsha

Usne Phulon Ko Hata K Kante Ko Muthi Mai Le Kar
PYAR Se Thora Chuma

Shayad Wo Jan Gai Thi PYAR K Badle Yehi Milega.../


Pagal Larki

Pehle Mere Khat Ke Us Ne

Ik Anjaane Khauf Se Dar Kar

Tukrye Tukrey Kar Daley

Ab

Ek Haseen Ahsaas Ke Taabay

Jis Ka Koi Naam Nahi

Pichle Kitne Hi Ghanton Se

Darwaaze Ki Ott Mai Chup Kar

Tukrey Jorr Rahi Hai…………Pagal


KOCH IS TARA WO MERI ZINDAGI ME AAYE
KOCH IS TARA ME OSKI ZINDAGI BAN JAO
KUCH IS TARA WO MERE SAAMNE AAJAE
KUCH IS TARA ME OSKI MOHABBAT BAN JAO
KUCH IS TARA WO MUJE APNA LEIN
KUCH IS TARA ME OSKI ZINDAGI K KHUSHI BAN JAO
KUCH IS TARA WO MUJE PANA CHAHE


Wafa pe hmari aitbar rakhna
Ham badall nai sakty itna yad rakhna

Dena chahte ho agr khushiyan humain "samina"
To khud khush rehna aur apna khiyaal rakhna


Door ho ya paas ho Aap hamare liye kuch khas ho
Kahte hai sabse bada rishta pyar hai to suno,
Hamare liye to pyaar ka matlab hi Aap Ho.


Har aik se tera tahluk gwara nai mujko Sheraz
Jub dil aik hain too pir chatian beshumar kiun


Tum ne he safr karwaya thah Mohabbat ki kashti par Sheraz
Ab nazrain na chura mujy doobta hua b dekh


Dill waly to aur b hongy tery shehr main Sheraz
Magr hmara andaz e wafa tumain aksar yaad aey ga


Kar na hum se apni wafa k youn tazkary Sheraz
Hum janty hain k koi kis ka kitna talbgaar hai


koi kese tanha ho saqta hai is jahan main sheraz
jub basta hu woh RAB apni sanson se qareeb


saza ban jati hain guzry huy wakat ki yadain Sheraz
Najany kiun loog mehrban hoty hain choor jany k baad


wo muhabat hai meri koi majbori to nahi
wo mjhy chahy ya mil jay zarori to nahi
ya kia km hai k basa hai meri ankho ma
wo rahy meri nazro k samany ya zarori to nahi


mhjy yaqeen to nai mgr yai sch hai
mian tery wasty umry guzar skti hn
ik yai nai k tjy jeetny ke khawish hai
main tery wasty khud ko b haar skti hn


Wo saath the to hm b thhe manzil se aashna
ab wo nehi to lagte hain raste ajeeb se


asani se koi mil jaye to wo kismat ka sath hai faraz
suli pr charh kar bhi jo na milay usay muhabat kehte hain


Nahi hoti Har bat par Wezahtain Ae DileNadan
Mohabbat me kuch Sawalon K jawab nahi hote


Bohat sey aise batain hain jinhain hum farz kartey hain
chalo yeh farz kartey hain unhain muj sey mohabbat hai


HOON TU KHAFA US se Per jane phir b q
Na chah kar b usko chahna acha lagta hay
Haqqeqat se hun door Ye mujh ko hay pata
Per jan k anjaan reh na acha lagta hay
Qayel nahi piyar me kuch bhi kehne ki
magar kabhi kabhi kuch us se kehna acha lagta hay
Wo mera tha , wo mera hay , who mera rehega
Kuch pal is khwab me aa jana acha lagta hay


Aye Alem-e-Waqt koi aisa fatwa day
Jo Mohabat me "WAFA" na kary kafir thehry


Yeh Warq Warq teri Dastan
Yeh sabaq sabaq Terey Tazkary
Main karoon to kaise karoon alag
Tujhe Zindagi ki kitab se
Maktb e isiq k andaz naraly dekhy Sheraz
Us ko chuti na mili jis ne sabak yaad kia


Wo raato ke neende urane laga hai
Meri khwahisho ko jagane laga hai
Adao ke nahkre dikhaongi me osko
Main ghusse me ziyada sataongi osko
Mere dil me bs wahi hai samaya
Yeh kya dard dil mere dil me jagaya
Subah shaam mere khiyalo pe chaya
Kaun hai jo sapno main aaya


It is as presious as dimond
It leads to a pleasure way
where
You cann't measure de time...........
Don't get it out of hands if
successed to get it.....
It's love


Love is nothing
But a unlimited
Feeling
It can be gone up
with time passaing
But
never be minimized
It's fantastic.........

I love S...................


Hoti hay barri zaalim yak tarfa "Mohabbat",

Wo yaad to aty hain Mgr yaad Nhi kerty.


Ye na samjho ki tum hi meri Aakhri Mohabbat ho
Mohabbat jurm hai humse dobara ho bhi sakta hai


Wohi izhar kafi tha
Tumhe ik din kaha tha jo
K tum se piyar karte hain
Wo lamha bhool q bethe
Wo jumla bhool q bethe
Abhi tajdeed mango ge
Meri belos chahat ki
Tumhe ek bar phir se who
Mohabbat na mile shayad
Ye jo tum rooth bethe ho
Tumhari kam nighai hay
Tumhe gar piyar karna tha
Hamare sath chalna tha
Wo ek izhar sun lete
Wohi izhar kafi tha
Tumhe ek din kaha tha jo
K Tum se PYAAR karte hain


Wo dil he kya jo tere milne ki dua na kare

Me tuj ko bhool k zinda rahoon khuda na kare


Ek bewafa ko na aya humari wafa ka YAKEEN
Hum ne kaha hum mar jayein gay aur uss ne kaha AMEEN

No comments:

Post a Comment